be-kasan-e-ishq the hum gham mein khap sare gae
be-kasān-e-ishq the ham ġham meñ khap saare ga.e
bāz-ḳhvāh-e-ḳhūñ na thā maare ga.e maare ga.e
baar kal tak nā-tavānoñ ko na thā us bazm meñ
girte paḌte ham bhī aajiz aaj vaañ baare ga.e
chhātī merī sard aahoñ se huī thī sab karaḳht
ustuḳhvāñ ab us ke ashk-e-garm se dhāre ga.e
baḳht jaage hī na Tuk jo ho ḳhabar ghar meñ use
sub.h tak ham raat dīvāroñ se sar maare ga.e
'mīr' qais-o-kohkan nā-chār guzre jaan se
do-jahāñ hasrat liye hamrāh bechāre ga.e
be-kasan-e-ishq the hum gham mein khap sare gae
baz-KHwah-e-KHun na tha mare gae mare gae
bar kal tak na-tawanon ko na tha us bazm mein
girte paDte hum bhi aajiz aaj wan bare gae
chhati meri sard aahon se hui thi sab karaKHt
ustuKHwan ab us ke ashk-e-garm se dhaare gae
baKHt jage hi na Tuk jo ho KHabar ghar mein use
subh tak hum raat diwaron se sar mare gae
'mir' qais-o-kohkan na-chaar guzre jaan se
do-jahan hasrat liye hamrah bechaare gae
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1773
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.