be-mehr-o-wafa hai wo kya rasm-e-wafa jaane
be-mehr-o-vafā hai vo kyā rasm-e-vafā jaane
ulfat se mohabbat se mil baiThnā kyā jaane
dil dhaḌke hai jaate kuchh but-ḳhāne se ka.abe ko
is raah meñ pesh aave kyā ham ko ḳhudā jaane
hai mahv-e-ruḳh apnā tū ā.īne meñ har saa.at
sūrat hai jo kuchh dil kī so terī balā jaane
kuchh us kī bañdhī muTThī is baaġh meñ guzre hai
jo zaḳhm-e-jigar apne juuñ ġhuncha chhupā jaane
kyā siine ke jalne ko hañs hañs ke uḌātā huuñ
jab aag koī ghar ko is taur lagā jaane
maiñ miTTī bhī le jā.ūñ darvāze kī us ke to
is dard-e-mohabbat kī jo koī davā jaane
apne ta.iiñ bhī khānā ḳhālī nahīñ lazzat se
kyā jaane havas-pesha chakkhe to maza jaane
yuuñ shahr meñ bahutere āzār-dahinde haiñ
tab jāniye jab koī is Dhab se satā jaane
kyā jānūñ rakho roze yā daarū piyo shab ko
kirdār vahī achchhā tū jis ko bhalā jaane
āgāh nahīñ insāñ ai 'mīr' navishte se
kyā chāhiye hai phir jo tāle.a kā likhā jaane
be-mehr-o-wafa hai wo kya rasm-e-wafa jaane
ulfat se mohabbat se mil baiThna kya jaane
dil dhaDke hai jate kuchh but-KHane se kabe ko
is rah mein pesh aawe kya hum ko KHuda jaane
hai mahw-e-ruKH apna tu aaine mein har saat
surat hai jo kuchh dil ki so teri bala jaane
kuchh us ki bandhi muTThi is bagh mein guzre hai
jo zaKHm-e-jigar apne jun ghuncha chhupa jaane
kya sine ke jalne ko hans hans ke uData hun
jab aag koi ghar ko is taur laga jaane
main miTTi bhi le jaun darwaze ki us ke to
is dard-e-mohabbat ki jo koi dawa jaane
apne tain bhi khana KHali nahin lazzat se
kya jaane hawas-pesha chakkhe to maza jaane
yun shahr mein bahutere aazar-dahinde hain
tab jaaniye jab koi is Dhab se sata jaane
kya jaanun rakho roze ya daru piyo shab ko
kirdar wahi achchha tu jis ko bhala jaane
aagah nahin insan ai 'mir' nawishte se
kya chahiye hai phir jo talea ka likha jaane
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.