begana-waz’ barson is shahr mein raha hun
begāna-vaz’ barsoñ is shahr meñ rahā huuñ
bhāgūñ huuñ duur sab se maiñ kis kā āshnā huuñ
pūchhā kiye haiñ mujh se gul barg lab ko tere
bulbul ke haath jab maiñ gulzār meñ lagā huuñ
ab kār-e-shauq dekhūñ pahuñche mirā kahāñ tak
qāsid ke pīchhe maiñ bhī be-tāqat uTh chalā huuñ
tujh se matā'-e-ḳhush kā kyūñkar na huuñ mu’arrif
yūsuf ke haath pyāre kuchh maiñ nahīñ bikā huuñ
gul-phūl koī kab tak jhaḌ jhaḌ ke girte dekhe
is baaġh meñ bahut ab juuñ ġhuncha maiñ rukā huuñ
kyā kyā kiyā ta.ammul is fikr meñ gayā ghul
samjhā na aap ko maiñ kyā jāniye ki kyā huuñ
hotā hai garm kyā tū ai āftāb-e-ḳhūbī
ek-ādh dam meñ maiñ to shabnam-namat havā huuñ
piirī se jhukte jhukte pahuñchā huuñ ḳhaak tak maiñ
vo sarkashī kahāñ hai ab to bahut dabā huuñ
mujh ko balā hai vahshat ai 'mīr' duur us se
jāgah se jab uThā huuñ āshob sā uThā huuñ
begana-waz’ barson is shahr mein raha hun
bhagun hun dur sab se main kis ka aashna hun
puchha kiye hain mujh se gul barg lab ko tere
bulbul ke hath jab main gulzar mein laga hun
ab kar-e-shauq dekhun pahunche mera kahan tak
qasid ke pichhe main bhi be-taqat uTh chala hun
tujh se mata'-e-KHush ka kyunkar na hun mu’arrif
yusuf ke hath pyare kuchh main nahin bika hun
gul-phul koi kab tak jhaD jhaD ke girte dekhe
is bagh mein bahut ab jun ghuncha main ruka hun
kya kya kiya tammul is fikr mein gaya ghul
samjha na aap ko main kya jaaniye ki kya hun
hota hai garm kya tu ai aaftab-e-KHubi
ek-adh dam mein main to shabnam-namat hawa hun
piri se jhukte jhukte pahuncha hun KHak tak main
wo sarkashi kahan hai ab to bahut daba hun
mujh ko bala hai wahshat ai 'mir' dur us se
jagah se jab uTha hun aashob sa uTha hun
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0889
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.