betab hai dil gham se nipaT zar hai aashiq
betāb hai dil ġham se nipaT zaar hai āshiq
kyā jā ke do-chār us se ho nā-chār hai āshiq
vo dekhne ko jaave to behtar hai vagarna
bad-hāl-o-sitam-dīda-o-bīmār hai āshiq
rahtā hai khaḌā dhuup meñ do-do pahar aa ke
be-jurm sadā us kā gunahgār hai āshiq
uThtā nahīñ talvār ke saa.e ke tale se
ya.anī hama-dam marne ko tayyār hai āshiq
chaspāñ hue haiñ 'mīr' ḳharīdār se tanhā
kyā jins hai māshūq ki bāzār hai āshiq
betab hai dil gham se nipaT zar hai aashiq
kya ja ke do-chaar us se ho na-chaar hai aashiq
wo dekhne ko jawe to behtar hai wagarna
bad-haal-o-sitam-dida-o-bimar hai aashiq
rahta hai khaDa dhup mein do-do pahar aa ke
be-jurm sada us ka gunahgar hai aashiq
uThta nahin talwar ke sae ke tale se
yani hama-dam marne ko tayyar hai aashiq
chaspan hue hain 'mir' KHaridar se tanha
kya jins hai mashuq ki bazar hai aashiq
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1660
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.