chah mein dil par zulm-o-sitam hai jaur-o-jafa hai kya kya kuchh

chah mein dil par zulm-o-sitam hai jaur-o-jafa hai kya kya kuchh
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
chaah meñ dil par zulm-o-sitam hai jaur-o-jafā hai kyā kyā kuchh
dard-o-alam hai kulfat-o-ġham hai ranj-o-balā hai kyā kyā kuchh
āshiq ke mar jaane ke asbāb bahut rusvā.ī meñ
dil bhī lagā hai sharm-o-hayā hai mehr-o-vafā hai kyā kyā kuchh
ishq ne de kar aag yakāyak shahr-e-tan ko phūñk diyā
dil to jalā hai dimāġh jalā hai aur jalā hai kyā kyā kuchh
dil lene ko farefta ke bahterā kuchh hai yaar kane
ġhamza ishva chashmak chitvan nāz-o-adā hai kyā kyā kuchh
kyā kyā dīda-darā.ī sī tum karte rahe is aalam meñ
tum se aage suno ho sāhib nahīñ huā hai kyā kyā kuchh
hasrat-e-vasl andoh-e-judā.ī ḳhvāhish kāvish zauq-o-shauq
yuuñ to chalā huuñ akelā lekin saath chalā hai kyā kyā kuchh
kyā kahiye jab maiñ ne kahā hai 'mīr' hai maġhrūr is par tū
apnī zabāñ mat khol to un ne aur kahā hai kyā kyā kuchh
chah mein dil par zulm-o-sitam hai jaur-o-jafa hai kya kya kuchh
dard-o-alam hai kulfat-o-gham hai ranj-o-bala hai kya kya kuchh
aashiq ke mar jaane ke asbab bahut ruswai mein
dil bhi laga hai sharm-o-haya hai mehr-o-wafa hai kya kya kuchh
ishq ne de kar aag yakayak shahr-e-tan ko phunk diya
dil to jala hai dimagh jala hai aur jala hai kya kya kuchh
dil lene ko farefta ke bahtera kuchh hai yar kane
ghamza ishwa chashmak chitwan naz-o-ada hai kya kya kuchh
kya kya dida-darai si tum karte rahe is aalam mein
tum se aage suno ho sahib nahin hua hai kya kya kuchh
hasrat-e-wasl andoh-e-judai KHwahish kawish zauq-o-shauq
yun to chala hun akela lekin sath chala hai kya kya kuchh
kya kahiye jab main ne kaha hai 'mir' hai maghrur is par tu
apni zaban mat khol to un ne aur kaha hai kya kya kuchh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1486
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.