chalte hue tasalli ko kuchh yar kah gae
chalte hue tasallī ko kuchh yaar kah ga.e
us qāfile meñ ham bhī the afsos rah ga.e
kyā kyā makān-e-shāh-nashīñ the vazīr ke
vo uTh gayā to ye bhī gire baiThe Dhah ga.e
us kaj-ravish se milnā ḳharābāt meñ na thā
be-taur ham bhī jā ke mile be-jagah ga.e
ve zor-var javāñ jinheñ kahiye pahāḌ the
jab aa.ī mauj-e-hādisa tinke se bah ga.e
vo yaar to na thā tah-e-dil se kisū kā 'mīr'
nā-chār us ke jaur-o-sitam ham bhī sah ga.e
chalte hue tasalli ko kuchh yar kah gae
us qafile mein hum bhi the afsos rah gae
kya kya makan-e-shah-nashin the wazir ke
wo uTh gaya to ye bhi gire baiThe Dhah gae
us kaj-rawish se milna KHarabaat mein na tha
be-taur hum bhi ja ke mile be-jagah gae
we zor-war jawan jinhen kahiye pahaD the
jab aai mauj-e-hadisa tinke se bah gae
wo yar to na tha tah-e-dil se kisu ka 'mir'
na-chaar us ke jaur-o-sitam hum bhi sah gae
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1752
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.