chhoDa junun ke daur mein rasm-o-rah-e-islam ko
chhoḌā junūñ ke daur meñ rasm-o-rah-e-islām ko
tah kar sanam-ḳhāne chalā huuñ jāma-e-ehrām ko
martā maro jiitā jiyo aao koī jaao koī
hai kaam ham logoñ se kyā is dilbar-e-ḳhud-kām ko
jis ḳhud-numā tak jā.ūñ huuñ us se sunūñ huuñ duur duur
kyā muñh lagāve ab koī is rū-siyah badnām ko
bechain bistar par rahā be-ḳhvāb ḳhākistar pe huuñ
sabr-o-sukūñ jab se ga.e paayā nahīñ ārām ko
āsā.ish-o-rāhat se jo pūchhe koī to kyā kahūñ
maiñ umr bhar khīñchā kiyā ranj-o-ġham-o-ālām ko
'mīr' ab bhalā kyā ibtidā-e-ishq ko rotā hai tū
kar fikr jo paave bhī is āġhāz ke anjām ko
chhoDa junun ke daur mein rasm-o-rah-e-islam ko
tah kar sanam-KHane chala hun jama-e-ehram ko
marta maro jita jiyo aao koi jao koi
hai kaam hum logon se kya is dilbar-e-KHud-kaam ko
jis KHud-numa tak jaun hun us se sunun hun dur dur
kya munh lagawe ab koi is ru-siyah badnam ko
bechain bistar par raha be-KHwab KHakistar pe hun
sabr-o-sukun jab se gae paya nahin aaram ko
aasaish-o-rahat se jo puchhe koi to kya kahun
main umr bhar khincha kiya ranj-o-gham-o-alam ko
'mir' ab bhala kya ibtida-e-ishq ko rota hai tu
kar fikr jo pawe bhi is aaghaz ke anjam ko
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1861
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.