chup rah ab nalon se ai bulbul na kar aazar-e-dil
chup rah ab nāloñ se ai bulbul na kar āzār-e-dil
kam-dimāġhī hai bahut mujh ko ki huuñ bīmār-e-dil
ibtidā-e-ḳhabt meñ hotā tadāruk kuchh to thā
ab koī sañbhle hai mujh se vahshat-e-bisyār-e-dil
yak tavajjoh meñ rahe hai sair us kī arsh par
aql meñ aate nahīñ haiñ turfa turfa kār-e-dil
baaġh se le dasht tak rakhte haiñ ik shor-e-ajab
ham asīrān-e-qafas ke nāla-hā-e-zār-e-dil
is subuk-rūhī pe juuñ bād-e-sahar dar dar phire
zindagī ab yaar bin apnī huī hai bār-e-dil
tangī-o-vus.at se is kī ai ibārat-sāz fahm
'mīr' kuchh samjhe ga.e na ma.anī-e-asrār-e-dil
chup rah ab nalon se ai bulbul na kar aazar-e-dil
kam-dimaghi hai bahut mujh ko ki hun bimar-e-dil
ibtida-e-KHabt mein hota tadaruk kuchh to tha
ab koi sanbhle hai mujh se wahshat-e-bisyar-e-dil
yak tawajjoh mein rahe hai sair us ki arsh par
aql mein aate nahin hain turfa turfa kar-e-dil
bagh se le dasht tak rakhte hain ek shor-e-ajab
hum asiran-e-qafas ke nala-ha-e-zar-e-dil
is subuk-ruhi pe jun baad-e-sahar dar dar phire
zindagi ab yar bin apni hui hai bar-e-dil
tangi-o-wusat se is ki ai ibarat-saz fahm
'mir' kuchh samjhe gae na mani-e-asrar-e-dil
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1834
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.