dard-o-gham se dil kabhu fursat na pae
dard-o-ġham se dil kabhū fursat na paa.e
ye sa’ūbat kab talak koī uThā.e
tifl-e-tah-bāzār kā 'āshiq huuñ maiñ
dil-faroshī koī mujh se siikh jaa.e
zaar ronā chashm kā kab dekhte
dekheñ haiñ lekin ḳhudā jo kuchh dikhā.e
kab talak chāk-e-qafas se jhāñkiye
barg-e-gul yaañ bhī sabā koī to laa.e
kab se ham ko hai talāsh-e-dast-e-ġhaib
tā kamar-pech us kā apne haath aa.e
us kī apnī bantī hī hargiz nahīñ
bigḌī sohbat aisī kyā koī banā.e
jo likhī qismat meñ zillat ho so ho
ḳhatt-e-peshānī koī kyūñkar miTā.e
daaġh hai murġh-e-chaman pā.īz se
dil na ho jaltā jo us kā gul na khaa.e
zaḳhm-e-sīna merā us ke haath kā
ho koī rijhvāḌ to us ko rijhā.e
'mīr' aksar 'umr ke afsos meñ
zer-e-lab bālā-e-lab hai haa.e vaa.e
dard-o-gham se dil kabhu fursat na pae
ye sa’ubat kab talak koi uThae
tifl-e-tah-bazar ka 'ashiq hun main
dil-faroshi koi mujh se sikh jae
zar rona chashm ka kab dekhte
dekhen hain lekin KHuda jo kuchh dikhae
kab talak chaak-e-qafas se jhankiye
barg-e-gul yan bhi saba koi to lae
kab se hum ko hai talash-e-dast-e-ghaib
ta kamar-pech us ka apne hath aae
us ki apni banti hi hargiz nahin
bigDi sohbat aisi kya koi banae
jo likhi qismat mein zillat ho so ho
KHatt-e-peshani koi kyunkar miTae
dagh hai murgh-e-chaman paiz se
dil na ho jalta jo us ka gul na khae
zaKHm-e-sina mera us ke hath ka
ho koi rijhwaD to us ko rijhae
'mir' aksar 'umr ke afsos mein
zer-e-lab baala-e-lab hai hae wae
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1766
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.