dast-basta kaam naKHun kar gae
dast-basta kaam nāḳhun kar ga.e
sab ḳharāshoñ hī se jabhe bhar ga.e
but-kade se to chale ka.abe vale
das qadam ham dil ko kar patthar ga.e
kyā jo uḌtī sī sunī aa.e haiñ gul
ham asīroñ ke to bāl-o-par ga.e
majlisoñ kī majliseñ barham huiiñ
log ve pal mārte kīdhar ga.e
the lab-e-jū par jo garm-e-dīd-e-yār
sabze ke se rang mizhgāñ-tar ga.e
ḳhānvāde ho ga.e kyā kyā ḳharāb
ḳhāna-sāz-e-dīn kaise mar ga.e
dast-afshāñ pā-e-kūbāñ shauq meñ
sauma.e se 'mīr' bhī bāhar ga.e
dast-basta kaam naKHun kar gae
sab KHarashon hi se jabhe bhar gae
but-kade se to chale kabe wale
das qadam hum dil ko kar patthar gae
kya jo uDti si suni aae hain gul
hum asiron ke to baal-o-par gae
majlison ki majlisen barham huin
log we pal marte kidhar gae
the lab-e-ju par jo garm-e-did-e-yar
sabze ke se rang mizhgan-tar gae
KHanwade ho gae kya kya KHarab
KHana-saz-e-din kaise mar gae
dast-afshan pa-e-kuban shauq mein
saumae se 'mir' bhi bahar gae
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1311
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.