dekh KHurshid tujhko ai mahbub
dekh ḳhurshīd tujh ko ai mahbūb
araq-e-sharm meñ gayā hai Duub
aa.ī kan.āñ se bād-e-misr vale
na ga.ī tā-ba kulba-e-yāqūb
bin asā shaiḳh yak qadam na rakhe
raah chaltā nahīñ ye ḳhar be-chob
is liye ishq maiñ ne chhoḌā thā
tū bhī kahne lagā burā kyā ḳhuub
pī ho mai to lahū piyā huuñ maiñ
mohtasib āñkhoñ par hai kuchh āshob
'mīr' shā.ir bhī zor koī thā
dekhte ho na baat kā uslūb
dekh KHurshid tujh ko ai mahbub
araq-e-sharm mein gaya hai Dub
aai kanan se baad-e-misr wale
na gai ta-ba kulba-e-yaqub
bin asa shaiKH yak qadam na rakhe
rah chalta nahin ye KHar be-chob
is liye ishq main ne chhoDa tha
tu bhi kahne laga bura kya KHub
pi ho mai to lahu piya hun main
mohtasib aankhon par hai kuchh aashob
'mir' shair bhi zor koi tha
dekhte ho na baat ka uslub
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0179
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.