Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhega jo tujh ro ko so hairan rahega

Meer Taqi Meer

dekhega jo tujh ro ko so hairan rahega

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    dekhegā jo tujh ro ko so hairān rahegā

    vābasta tire pareshān rahegā

    va.ada to kiyā is se dam-e-sub.h lekin

    us dam ta.iiñ mujh meñ bhī agar jaan rahegā

    mun.im ne banā zulm rakh ghar to banāyā

    par aap koī raat mehmān rahegā

    chhūTūñ kahīñ iizā se lagā ek jallād

    tā-hashr mire sar pe ye ehsān rahegā

    chimTe raheñge dasht-e-mohabbat meñ sar-o-teġh

    mahshar ta.iiñ ḳhālī na ye maidān rahegā

    jaane nahīñ shor suḳhan mire hargiz

    tā-hashr jahāñ meñ mirā dīvān rahegā

    dil dene aisī harakat un ne nahīñ

    jab tak jiyegā 'mīr' pashemān rahegā

    dekhega jo tujh ro ko so hairan rahega

    wabasta tere mu ka pareshan rahega

    wada to kiya is se dam-e-subh ka lekin

    us dam tain mujh mein bhi agar jaan rahega

    munim ne bana zulm ki rakh ghar to banaya

    par aap koi raat hi mehman rahega

    chhuTun kahin iza se laga ek hi jallad

    ta-hashr mere sar pe ye ehsan rahega

    chimTe rahenge dasht-e-mohabbat mein sar-o-tegh

    mahshar tain KHali na ye maidan rahega

    jaane ka nahin shor suKHan ka mere hargiz

    ta-hashr jahan mein mera diwan rahega

    dil dene ki aisi harakat un ne nahin ki

    jab tak jiyega 'mir' pasheman rahega

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0009

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now