dekhi thi tere kan ke moti ki ek jhalak
dekhī thī tere kaan ke motī kī ik jhalak
jaatī nahīñ hai ashk kī ruḳhsār ke Dhalak
yā-rab ik ishtiyāq nikaltā hai chaal se
milte phireñ haiñ ḳhaak meñ kis ke liye falak
tāqat ho jis ke dil meñ vo do-chār din rahe
ham nā-tavān-e-ishq tumhāre kahāñ talak
barsoñ hue ki jaan se jaatī nahīñ ḳhalish
Tuk hil ga.ī thī aage mire vo phirī palak
aa.ī na haath 'mīr' kī mayyat pe kal namāz
tābūt par thī us ke nipaT kasrat-e-malak
dekhi thi tere kan ke moti ki ek jhalak
jati nahin hai ashk ki ruKHsar ke Dhalak
ya-rab ek ishtiyaq nikalta hai chaal se
milte phiren hain KHak mein kis ke liye falak
taqat ho jis ke dil mein wo do-chaar din rahe
hum na-tawan-e-ishq tumhaare kahan talak
barson hue ki jaan se jati nahin KHalish
Tuk hil gai thi aage mere wo phiri palak
aai na hath 'mir' ki mayyat pe kal namaz
tabut par thi us ke nipaT kasrat-e-malak
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0838
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.