dil ajab charche ki jaga thi so virana hua
dil ajab charche kī jaagā thī so vīrāna huā
josh-e-ġham se jī jo baulāyā so dīvāna huā
bazm-e-ishrat par jahāñ kī gosh vā kar jaa.e chashm
aaj yaañ dekhā gayā jo kuchh kal afsāna huā
der meñ jo maiñ gadāyāna gayā ūdhar kahā
shaah jī kahiye kidhar se aap kā aanā huā
kyā kaheñ hasrat liye jaise jahāñ se koī jaa.e
yaar ke kūche se apnā is tarah jaanā huā
'mīr' tiir un jaur-keshoñ ke jo khaa.e be-shumār
chhātī ab chhalnī hai merī hai jigar chhānā huā
dil ajab charche ki jaga thi so virana hua
josh-e-gham se ji jo baulaya so diwana hua
bazm-e-ishrat par jahan ki gosh wa kar jae chashm
aaj yan dekha gaya jo kuchh kal afsana hua
der mein jo main gadayana gaya udhar kaha
shah ji kahiye kidhar se aap ka aana hua
kya kahen hasrat liye jaise jahan se koi jae
yar ke kuche se apna is tarah jaana hua
'mir' tir un jaur-keshon ke jo khae be-shumar
chhati ab chhalni hai meri hai jigar chhana hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1093
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.