dil ajab shahr tha KHayalon ka
dil ajab shahr thā ḳhayāloñ kā
luuTā maarā hai husn vāloñ kā
jī ko janjāl dil ko hai uljhāv
yaar ke halqa halqa bāloñ kā
mū-e-dilbar se mushkbū hai nasīm
haal ḳhush us ke ḳhastā-hāloñ kā
na kahā kuchh na aa phirā na milā
kyā javāb un mire savāloñ kā
dam na le us kī zulfoñ kā maarā
'mīr' kaaTā jiye na kāloñ kā
dil ajab shahr tha KHayalon ka
luTa mara hai husn walon ka
ji ko janjal dil ko hai uljhaw
yar ke halqa halqa baalon ka
mu-e-dilbar se mushkbu hai nasim
haal KHush us ke KHasta-haalon ka
na kaha kuchh na aa phira na mila
kya jawab un mere sawalon ka
dam na le us ki zulfon ka mara
'mir' kaTa jiye na kalon ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1097
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.