dil bhi bhara rahta hai mera ji bhi runDha kuchh jata hai

dil bhi bhara rahta hai mera ji bhi runDha kuchh jata hai
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
dil bhī bharā rahtā hai merā jī bhī ruñDhā kuchh jaatā hai
kyā jānūñ maiñ ro.ūñgā kaisā dariyā chaḌhtā aatā hai
sach hai vo jo kahā kartā hai kaun hai tū kyā samjhe hameñ
begāne to haiñ hī ham ve naaoñ kā chaah kā naatā hai
tū bulbul āzurda na ho gul phuul se bāġh-e-bahārāñ meñ
ranj-kash-e-ulfat hai 'āshiq jī apnā bahlātā hai
'ishq-o-mohabbat kyā jānūñ maiñ lekin itnā jānūñ huuñ
andar hī siine meñ mere dil ko koī khātā hai
'āshiq apnā jaan liyā hai un ne shāyad 'mīr' hameñ
dekh bharī majlis meñ apnī ham hī se sharmātā hai
dil bhi bhara rahta hai mera ji bhi runDha kuchh jata hai
kya jaanun main rounga kaisa dariya chaDhta aata hai
sach hai wo jo kaha karta hai kaun hai tu kya samjhe hamein
begane to hain hi hum we naon ka chah ka nata hai
tu bulbul aazurda na ho gul phul se bagh-e-bahaaran mein
ranj-kash-e-ulfat hai 'ashiq ji apna bahlata hai
'ishq-o-mohabbat kya jaanun main lekin itna jaanun hun
andar hi sine mein mere dil ko koi khata hai
'ashiq apna jaan liya hai un ne shayad 'mir' hamein
dekh bhari majlis mein apni hum hi se sharmata hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1743
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.