dil dimagh-o-jigar ye sab ek bar
dil dimāġh-o-jigar ye sab ik baar
kaam aa.e firāq meñ ai yaar
kyoñ na ho zo.af ġhālib a.azā par
mar ga.e haiñ qushūn ke sardār
gul-e-pazhmurda kā nahīñ mamnūn
ham asīroñ kā gosha-e-dastār
mat nikal ghar se ham bhī raazī haiñ
dekh leñge kabhū sar-e-bāzār
saiñkaḌoñ harf haiñ girah dil meñ
par kahāñ pā.iye lab-e-iz.hār
sair kar dasht-e-ishq kā gulshan
ġhunche ho ho rahe haiñ sau sau ḳhaar
roz-e-mahshar hai raat hijrāñ kī
aisī ham zindagī se haiñ bezār
bahs-e-nāla bhī kījiyo bulbul
pahle paidā to kar lab-e-guftār
chāk-e-dil par haiñ chashm-e-sad-ḳhūbāñ
kyā karūñ yak-anār-o-sad bīmār
shukr kar dāġh-e-dil kā ai ġhāfil
kis ko dete haiñ dīda-e-bedār
go ġhazal ho ga.ī qasīda sī
āshiqoñ kā hai tūl-e-harf shi.ār
qaaf
har sahar lag chalī tū hai to nasīm
ai siyah-mast-e-nāz Tuk hushiyār
shāḳhsāne hazār nikleñge
jo gayā us kī zulf kā ik taar
qaaf
vājib-ul-qatl is qadar to huuñ
ki mujhe dekh kar kahe hai pukār
ye to aaya na sāmne mere
laao merī miyāñ sipar talvār
qaaf
aa ziyārat ko qabr-e-āshiq par
ik tarah kā hai yaañ bhī josh-e-bahār
nikle hai merī ḳhaak se nargis
ya.anī ab tak hai hasrat-e-dīdār
qaaf
'mīr' sāhib zamāna nāzuk hai
donoñ hāthoñ se thāmiye dastār
sahl sī zindagī pe kaam ke tiiñ
apne uupar na kījiye dushvār
chaar din kā hai maj.hala ye sab
sab se rakhiye sulūk hī nā-chār
qaaf
koī aisā gunāh aur nahīñ
ye ki kiije sitam kisī par yaar
vaañ jahāñ ḳhaak ke barābar hai
qadr-e-haft-āsmān-e-zulm-shi.ār
yahī darḳhvāst pās-e-dil kī hai
nahīñ roza namāz kuchh darkār
dar-e-masjid pe halqa-zan ho tum
ki raho baiTh ḳhāna-e-ḳhummār
jī meñ aave so kījiyo pyāre
lek hojo na darpai-e-āzār
hāsil-e-do-jahān hai yak harf
ho mirī jaan aage tum muḳhtār
dil dimagh-o-jigar ye sab ek bar
kaam aae firaq mein ai yar
kyon na ho zoaf ghaalib aaza par
mar gae hain qushun ke sardar
gul-e-pazhmurda ka nahin mamnun
hum asiron ka gosha-e-dastar
mat nikal ghar se hum bhi raazi hain
dekh lenge kabhu sar-e-bazar
sainkaDon harf hain girah dil mein
par kahan paiye lab-e-izhaar
sair kar dasht-e-ishq ka gulshan
ghunche ho ho rahe hain sau sau KHar
roz-e-mahshar hai raat hijran ki
aisi hum zindagi se hain bezar
bahs-e-nala bhi kijiyo bulbul
pahle paida to kar lab-e-guftar
chaak-e-dil par hain chashm-e-sad-KHuban
kya karun yak-anar-o-sad bimar
shukr kar dagh-e-dil ka ai ghafil
kis ko dete hain dida-e-bedar
go ghazal ho gai qasida si
aashiqon ka hai tul-e-harf shiar
qaf
har sahar lag chali tu hai to nasim
ai siyah-mast-e-naz Tuk hushiyar
shaKHsane hazar niklenge
jo gaya us ki zulf ka ek tar
qaf
wajib-ul-qatl is qadar to hun
ki mujhe dekh kar kahe hai pukar
ye to aaya na samne mere
lao meri miyan sipar talwar
qaf
aa ziyarat ko qabr-e-ashiq par
ek tarah ka hai yan bhi josh-e-bahaar
nikle hai meri KHak se nargis
yani ab tak hai hasrat-e-didar
qaf
'mir' sahib zamana nazuk hai
donon hathon se thamiye dastar
sahl si zindagi pe kaam ke tin
apne upar na kijiye dushwar
chaar din ka hai majhala ye sab
sab se rakhiye suluk hi na-chaar
qaf
koi aisa gunah aur nahin
ye ki kije sitam kisi par yar
wan jahan KHak ke barabar hai
qadr-e-haft-asman-e-zulm-shiar
yahi darKHwast pas-e-dil ki hai
nahin roza namaz kuchh darkar
dar-e-masjid pe halqa-zan ho tum
ki raho baiTh KHana-e-KHummar
ji mein aawe so kijiyo pyare
lek hojo na darpai-e-azar
hasil-e-do-jahan hai yak harf
ho meri jaan aage tum muKHtar
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 211
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.