dil gham se KHun hua to bas ab zindagi hui
dil ġham se ḳhuuñ huā to bas ab zindagī huī
jān-e-umīd-vār se sharmindagī huī
ḳhidmat meñ us sanam ke ga.ī umr par hameñ
goyā ki roz us se na.ī bandagī huī
girye kā mere josh jo dekhā to sharm se
sailāb ko bhī der sar-afgandagī huī
thā do-dilā visāl meñ bhī maiñ ki hijr meñ
pāñchoñ havās kī to parāgandagī huī
ab sabr 'mīr' ho nahīñ saktā firāq meñ
yak umr jān-o-dil kī farebindagī huī
dil gham se KHun hua to bas ab zindagi hui
jaan-e-umid-war se sharmindagi hui
KHidmat mein us sanam ke gai umr par hamein
goya ki roz us se nai bandagi hui
girye ka mere josh jo dekha to sharm se
sailab ko bhi der sar-afgandagi hui
tha do-dila visal mein bhi main ki hijr mein
panchon hawas ki to paragandagi hui
ab sabr 'mir' ho nahin sakta firaq mein
yak umr jaan-o-dil ki farebindagi hui
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1880
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.