dil ka mutala kar ai aagah-e-haqaeq
dil kā mutāla kar ai āgah-e-haqā.eq
haiñ fann-e-ishq ke bhī mushkil bahut daqā.iq
chhātī-jaloñ ke aage khiñchtā hai beshtar dil
ek āshnā hai mujh se is baaġh meñ shaqā.iq
hai rāstī ki insāñ mushtaq hai uns hī se
bīmārī dostī kī hai dushman-e-ḳhalā.iq
jī saare tan kā khiñch kar āñkhoñ meñ aa rahā hai
kis martabe meñ ham bhī haiñ dekhne ke shā.eq
kal 'mīr' jī ne zaa.e.a apne ta.iiñ kiyā hai
ye kaam thā na un kī shā.istagī ke laa.eq
dil ka mutala kar ai aagah-e-haqaeq
hain fann-e-ishq ke bhi mushkil bahut daqaiq
chhati-jalon ke aage khinchta hai beshtar dil
ek aashna hai mujh se is bagh mein shaqaiq
hai rasti ki insan mushtaq hai uns hi se
bimari dosti ki hai dushman-e-KHalaiq
ji sare tan ka khinch kar aankhon mein aa raha hai
kis martabe mein hum bhi hain dekhne ke shaeq
kal 'mir' ji ne zaea apne tain kiya hai
ye kaam tha na un ki shaistagi ke laeq
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1418
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.