dil ke gae bekas kahlae aisa kahan hamdam hai ab
dil ke ga.e bekas kahlā.e aisā kahāñ hamdam hai ab
kaun aise mahrūm ġhamīñ kā hamrāz o mahram hai ab
sīna-zanī se ġham-zadagī hai sar dhunnā hai ronā hai
dil jo hamārā ḳhuun huā hai is se balā mātam hai ab
sun kar haal kisū ke dil kā ronā hī mujh ko aatā thā
ya.anī kabhū jo kuḌhtā thā maiñ vo ronā har dam hai ab
zardī-e-chehra tan kī nizārī bīmārī phir chāhat hai
dil meñ ġham hai mizhgāñ nam haiñ haal bahut darham hai ab
dekheñ din kaTte haiñ kyūñkar rāteñ kyūñke guzartī haiñ
betābi hai ziyāda ziyāda sabr bahut kam-kam hai ab
ishq hamārā aah na pūchho kyā kyā rang badaltā hai
ḳhuun huā dil daaġh huā phir dard huā phir ġham hai ab
milne vaalo phir miliyegā hai vo ālam-e-dīgar meñ
'mīr' faqīr ko sukr hai ya.anī mastī kā aalam hai ab
dil ke gae bekas kahlae aisa kahan hamdam hai ab
kaun aise mahrum ghamin ka hamraaz o mahram hai ab
sina-zani se gham-zadagi hai sar dhunna hai rona hai
dil jo hamara KHun hua hai is se bala matam hai ab
sun kar haal kisu ke dil ka rona hi mujh ko aata tha
yani kabhu jo kuDhta tha main wo rona har dam hai ab
zardi-e-chehra tan ki nizari bimari phir chahat hai
dil mein gham hai mizhgan nam hain haal bahut darham hai ab
dekhen din kaTte hain kyunkar raaten kyunke guzarti hain
betabi hai ziyaada ziyaada sabr bahut kam-kam hai ab
ishq hamara aah na puchho kya kya rang badalta hai
KHun hua dil dagh hua phir dard hua phir gham hai ab
milne walo phir miliyega hai wo aalam-e-digar mein
'mir' faqir ko sukr hai yani masti ka aalam hai ab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1581
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.