dil KHun hua tha yaksar pani hua jigar sab
dil ḳhuuñ huā thā yaksar paanī huā jigar sab
ḳhūñ-basta rahtiyāñ thiiñ palkeñ so ab haiñ tar sab
yārab kidhar ga.e ve jo ādmī-ravish the
uujaḌ dikhā.ī de haiñ shahr-o-dih-o-nagar sab
harf-o-suḳhan se mutlaq yaañ guftugū nahīñ hai
pyāde savār ham ko aa.e nazar nafar sab
'ālam ke logoñ kā hai tasvīr kā sā 'ālam
zāhir khulī haiñ āñkheñ lekin haiñ be-ḳhabar sab
'mīr' is ḳharābe meñ kyā ābād hove koī
dīvār-o-dar gire haiñ vīrāñ paḌe haiñ ghar sab
dil KHun hua tha yaksar pani hua jigar sab
KHun-basta rahtiyan thin palken so ab hain tar sab
yarab kidhar gae we jo aadmi-rawish the
ujaD dikhai de hain shahr-o-dih-o-nagar sab
harf-o-suKHan se mutlaq yan guftugu nahin hai
pyaade sawar hum ko aae nazar nafar sab
'alam ke logon ka hai taswir ka sa 'alam
zahir khuli hain aankhen lekin hain be-KHabar sab
'mir' is KHarabe mein kya aabaad howe koi
diwar-o-dar gire hain viran paDe hain ghar sab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1575
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.