dil to gudaz sab hai kis ko koi kahe dil
dil to gudāz sab hai kis ko koī kahe dil
nazdīk hai ki kahiye ab haa.e haa.e ai dil
is ishq meñ nikāle maiñ ne bhī naam kyā kyā
ḳhāna-ḳharāb-o-rusvā be-dīn aur be-dil
juuñ abr roiye kyā dil barq sā hai be-kal
rakkhe hī rahiye aksar haath us pe jo rahe dil
dil go ki dāġh-o-ḳhūñ hai rahtī hai laag tujh se
insāf kar ki jā kar dikhlāveñ phir kise dil
dil ke sabāt se ham naumīd ho rahe haiñ
ab vo samāñ hai ḳhuuñ ho ruḳhsār par bahe dil
āshiq kahāñ hue ham pān.choñ havās kho.e
is maḳhmase meñ az-bas hairāñ hai kyā kare dil
jaatā hai kyā khiñchā kuchh dekh us ko naaz kartā
aatā nahīñ hameñ ḳhush andāz-e-be-tah-e-dil
ham dardmand apnā soz-e-darūñ hai behad
yā-rab hamāre uupar kis martabe jale dil
ai 'mīr' ise hai nisbat kin halqa halqa mū se
betāb kuchh hai gaahe pur-pech hai gahe dil
dil to gudaz sab hai kis ko koi kahe dil
nazdik hai ki kahiye ab hae hae ai dil
is ishq mein nikale main ne bhi nam kya kya
KHana-KHarab-o-ruswa be-din aur be-dil
jun abr roiye kya dil barq sa hai be-kal
rakkhe hi rahiye aksar hath us pe jo rahe dil
dil go ki dagh-o-KHun hai rahti hai lag tujh se
insaf kar ki ja kar dikhlawen phir kise dil
dil ke sabaat se hum naumid ho rahe hain
ab wo saman hai KHun ho ruKHsar par bahe dil
aashiq kahan hue hum panchon hawas khoe
is maKHmase mein az-bas hairan hai kya kare dil
jata hai kya khincha kuchh dekh us ko naz karta
aata nahin hamein KHush andaz-e-be-tah-e-dil
hum dardmand apna soz-e-darun hai behad
ya-rab hamare upar kis martabe jale dil
ai 'mir' ise hai nisbat kin halqa halqa mu se
betab kuchh hai gahe pur-pech hai gahe dil
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1427
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.