dil uske mu se lag ke pareshan hua na tu
dil us ke mū se lag ke pareshāñ huā na tū
us rū kā misl-e-ā.ina hairāñ huā na tū
sad-rang bahs rahtī hai yaañ zī-shu.ūr se
ai vaa.e aql-mand ki nādāñ huā na tū
nazdīk haq ke diin to islām bin hai kufr
ai barhaman dareġh musalmāñ huā na tū
kitne dinoñ kahā thā dilā zabt-e-nāla kar
phir shab ko nā-shakebī se nālāñ huā na tū
hotā hai 'mīr' rū-e-suḳhan aadmī kī or
afsos ai sitam-zada insāñ huā na tū
dil us ke mu se lag ke pareshan hua na tu
us ru ka misl-e-aina hairan hua na tu
sad-rang bahs rahti hai yan zi-shuur se
ai wae aql-mand ki nadan hua na tu
nazdik haq ke din to islam bin hai kufr
ai barhaman daregh musalman hua na tu
kitne dinon kaha tha dila zabt-e-nala kar
phir shab ko na-shakebi se nalan hua na tu
hota hai 'mir' ru-e-suKHan aadmi ki or
afsos ai sitam-zada insan hua na tu
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1472
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.