do-chaar roz aage chhati gai thi kuTi
do-chār roz aage chhātī ga.ī thī kuuTī
hijrāñ kā ġham thā tah meñ saḳhtī se jaan TuuTī
kaliyāñ jhaḌī haiñ kachchī bikhre haiñ phuul saare
pā.īz ne chaman meñ kyā kyā bahār luuTī
sair-e-chaman meñ kuchh to jī se havas nikaltī
mausam meñ gul ke bulbul afsos hai na chhūTī
do-chaar roz aage chhati gai thi kuTi
hijran ka gham tha tah mein saKHti se jaan TuTi
kaliyan jhaDi hain kachchi bikhre hain phul sare
paiz ne chaman mein kya kya bahaar luTi
sair-e-chaman mein kuchh to ji se hawas nikalti
mausam mein gul ke bulbul afsos hai na chhuTi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1763
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.