ek-adh din sunoge sunna ke rah gae hum
ek-ādh din sunoge sunnā ke rah ga.e ham
kāñpā kare hai jī so Thahrā ke rah ga.e ham
vāshud huī so apnī pazhmurdagī se bad-tar
mausam ga.e ke gul se murjhā ke rah ga.e ham
pur-dāġh dil ko le kar āḳhir kiyā kināra
us baaġh se galī meñ jā jā ke rah ga.e ham
soz-e-darūñ ne ham ko parde meñ maar rakkhā
juuñ sham' aap hī ko khā khā ke rah ga.e ham
hairat se 'āshiqī kī pūchhā thā dostoñ ne
kah sakte kuchh to kahte sharmā ke rah ga.e ham
ai vaa.e dil ga.e par jī bhī gayā hamārā
yā'nī ki 'mīr' barsoñ pachhtā ke rah ga.e ham
ek-adh din sunoge sunna ke rah gae hum
kanpa kare hai ji so Thahra ke rah gae hum
washud hui so apni pazhmurdagi se bad-tar
mausam gae ke gul se murjha ke rah gae hum
pur-dagh dil ko le kar aaKHir kiya kinara
us bagh se gali mein ja ja ke rah gae hum
soz-e-darun ne hum ko parde mein mar rakkha
jun sham' aap hi ko kha kha ke rah gae hum
hairat se 'ashiqi ki puchha tha doston ne
kah sakte kuchh to kahte sharma ke rah gae hum
ai wae dil gae par ji bhi gaya hamara
ya'ni ki 'mir' barson pachhta ke rah gae hum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1438
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.