falak ka munh nahin is fitne ke uThane ka
falak kā muñh nahīñ is fitne ke uThāne kā
sitam-sharīk tirā naaz hai zamāne kā
hamāre zo.af kī hālat se dil qavī rakhiyo
kahīñ ḳhayāl nahīñ yaañ bahāl aane kā
tirī hī raah meñ maare ga.e sabhī āḳhir
safar to ham ko hai darpesh jī se jaane kā
bisān-e-sham.a jo majlis se ham ga.e to ga.e
surāġh kiijo na phir tū nishān paane kā
chaman meñ dekh nahīñ saktī Tuk ki chubhtā hai
jigar meñ barq ke kāñTā mujh āshiyāne kā
Tuk aa to tā-sar-e-bālīñ na kar ta'allul kyā
tujhe bhī shoḳh yahī vaqt hai bahāne kā
sarāhā un ne tirā haath jin ne dekhā zaḳhm
shahīd huuñ maiñ tirī teġh ke lagāne kā
sharīf-e-makka rahā hai tamām umr ai shaiḳh
ye 'mīr' ab jo gadā hai sharāb-ḳhāne kā
falak ka munh nahin is fitne ke uThane ka
sitam-sharik tera naz hai zamane ka
hamare zoaf ki haalat se dil qawi rakhiyo
kahin KHayal nahin yan bahaal aane ka
teri hi rah mein mare gae sabhi aaKHir
safar to hum ko hai darpesh ji se jaane ka
bisan-e-shama jo majlis se hum gae to gae
suragh kijo na phir tu nishan pane ka
chaman mein dekh nahin sakti Tuk ki chubhta hai
jigar mein barq ke kanTa mujh aashiyane ka
Tuk aa to ta-sar-e-baalin na kar ta'allul kya
tujhe bhi shoKH yahi waqt hai bahane ka
saraha un ne tera hath jin ne dekha zaKHm
shahid hun main teri tegh ke lagane ka
sharif-e-makka raha hai tamam umr ai shaiKH
ye 'mir' ab jo gada hai sharab-KHane ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0094
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.