faro aata nahin sar naz se ab ke amiron ka
faro aatā nahīñ sar naaz se ab ke amīroñ kā
agarche āsmāñ tak shor jaave ham faqīroñ kā
tabassum sehr hai jab paan se lab surḳh hoñ us ke
diloñ meñ kaam kar jaatā hai yaañ jaadū ke tīroñ kā
saraknā us ke darbāñ paas se hai shab ko bhī mushkil
sar-e-zanjīr zer-e-sar rakhe hai ham asīroñ kā
ga.e bahutoñ ke sar laḌkoñ ne jo ye bāñdhnūñ bāñdhe
shahīd ik maiñ nahīñ in bāñdhnūñ ke surḳh chīroñ kā
qafas ke chaak se dekhūñ huuñ maiñ to tang aatā huuñ
chaman meñ ġhuncha ho aanā guloñ par ham-safīroñ kā
hamāre dekhte zer-e-nagīñ thā mulk sab jin ke
koī ab naam bhī letā nahīñ un mulk-gīroñ kā
dil-e-pur ko to un palkoñ hī ne sab chhān maarā thā
kiyā 'mīr' un ne ḳhālī yūñhī tarkash apne tīroñ kā
faro aata nahin sar naz se ab ke amiron ka
agarche aasman tak shor jawe hum faqiron ka
tabassum sehr hai jab pan se lab surKH hon us ke
dilon mein kaam kar jata hai yan jadu ke tiron ka
sarakna us ke darban pas se hai shab ko bhi mushkil
sar-e-zanjir zer-e-sar rakhe hai hum asiron ka
gae bahuton ke sar laDkon ne jo ye bandhnun bandhe
shahid ek main nahin in bandhnun ke surKH chiron ka
qafas ke chaak se dekhun hun main to tang aata hun
chaman mein ghuncha ho aana gulon par ham-safiron ka
hamare dekhte zer-e-nagin tha mulk sab jin ke
koi ab nam bhi leta nahin un mulk-giron ka
dil-e-pur ko to un palkon hi ne sab chhan mara tha
kiya 'mir' un ne KHali yunhi tarkash apne tiron ka
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0746
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.