fikr mein marg ke hun sar darpesh
fikr meñ marg ke huuñ sar darpesh
hai ajab tuur kā safar darpesh
kis kī āñkheñ phire haiñ āñkhoñ meñ
dam-ba-dam hai mirī nazar darpesh
mastī bhī ahl-e-hosh kī hai jinheñ
aave hai ālam-e-digar darpesh
kyā karūñ naql rāh-e-hastī meñ
marhale aa.e kis qadar darpesh
kyā patange ko sham.a ro.e 'mīr'
us kī shab ko bhī hai sahar darpesh
fikr mein marg ke hun sar darpesh
hai ajab tur ka safar darpesh
kis ki aankhen phire hain aankhon mein
dam-ba-dam hai meri nazar darpesh
masti bhi ahl-e-hosh ki hai jinhen
aawe hai aalam-e-digar darpesh
kya karun naql rah-e-hasti mein
marhale aae kis qadar darpesh
kya patange ko shama roe 'mir'
us ki shab ko bhi hai sahar darpesh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1146
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.