ghaalib hai tere ahd mein bedad ki taraf
ġhālib hai tere ahd meñ bedād kī taraf
har ḳhūñ-girafta jaa.e hai jallād kī taraf
kin ne liyā hai tum se muchalkā ki daad do
Tuk kaan hī rakhā karo fariyād kī taraf
har tār-e-zulf qīmat-e-firdaus hai tirā
kartā hai kaun turra-e-shamshād kī taraf
ham ne to par-fishānī na jaanī ki ek baar
parvāz kī chaman se so sayyād kī taraf
hairān-e-kār-e-ishq hai shīrīñ kā naqsh 'mīr'
kuchh yūñhī dekhtā nahīñ farhād kī taraf
ghaalib hai tere ahd mein bedad ki taraf
har KHun-girafta jae hai jallad ki taraf
kin ne liya hai tum se muchalka ki dad do
Tuk kan hi rakha karo fariyaad ki taraf
har tar-e-zulf qimat-e-firdaus hai tera
karta hai kaun turra-e-shamshad ki taraf
hum ne to par-fishani na jaani ki ek bar
parwaz ki chaman se so sayyaad ki taraf
hairan-e-kar-e-ishq hai shirin ka naqsh 'mir'
kuchh yunhi dekhta nahin farhad ki taraf
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0250
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.