gae the sair-e-chaman ko uTh kar gulon mein Tuk ji laga na apna

gae the sair-e-chaman ko uTh kar gulon mein Tuk ji laga na apna
Meer Taqi Meer
MORE BYMeer Taqi Meer
ga.e the sair-e-chaman ko uTh kar guloñ meñ Tuk jī lagā na apnā
talāsh josh-e-bahār meñ kī nigār gulshan meñ thā na apnā
milā to thā vo ba-ḳhvāhish-e-dil maza bhī paate mile se lekin
phirīñ jo mastī meñ us kī āñkheñ so hosh ham ko rahā na apnā
jahāñ kā dariyā-e-be-karāñ to sarāb pāyān-e-kār niklā
jo log tah se kuchh āshnā the unhoñ ne lab tar kiyā na apnā
nikālī sarkash ne chaal aisī ki dekh hairat se rah ga.e ham
diloñ meñ kyā kyā hamāre aayā kareñ so kyā bas chalā na apnā
kahe bhī koī to us se jis meñ suḳhan kisū kā asar kare kuchh
bukā kiye ham hamesha maanā kisū din un ne kahā na apnā
na hosh ham ko na sabr dil ko na shor sar meñ na zor pā meñ
jo roveñ kis kis ko roveñ ab ham vafā meñ kyā kyā gayā na apnā
jahāñ meñ rahne ko jī bahut thā na kar sake 'mīr' kuchh tavaqquf
binā thī nā-pā.edār us kī usī se rahnā banā na apnā
gae the sair-e-chaman ko uTh kar gulon mein Tuk ji laga na apna
talash josh-e-bahaar mein ki nigar gulshan mein tha na apna
mila to tha wo ba-KHwahish-e-dil maza bhi pate mile se lekin
phirin jo masti mein us ki aankhen so hosh hum ko raha na apna
jahan ka dariya-e-be-karan to sarab payan-e-kar nikla
jo log tah se kuchh aashna the unhon ne lab tar kiya na apna
nikali sarkash ne chaal aisi ki dekh hairat se rah gae hum
dilon mein kya kya hamare aaya karen so kya bas chala na apna
kahe bhi koi to us se jis mein suKHan kisu ka asar kare kuchh
buka kiye hum hamesha mana kisu din un ne kaha na apna
na hosh hum ko na sabr dil ko na shor sar mein na zor pa mein
jo rowen kis kis ko rowen ab hum wafa mein kya kya gaya na apna
jahan mein rahne ko ji bahut tha na kar sake 'mir' kuchh tawaqquf
bina thi na-paedar us ki usi se rahna bana na apna
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1802
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.