ghaflat mein gai aah meri sari jawani
ġhaflat meñ ga.ī aah mirī saarī javānī
ai 'umr-e-guzashta maiñ tirī qadr na jaanī
thī ābla-e-dil se hameñ tishnagī meñ chashm
phūTā to na aaya nazar ik buuñd bhī paanī
muddat se haiñ ik musht-e-par āvāra chaman meñ
niklī hai ye kis kī havas-e-bāl-fishānī
bhātī hai mujhe ik talab-e-bosa meñ ye aan
luknat se ulajh jā ke use baat na aanī
qaaf
kyā jāniye kyā kyā maiñ likhūñ shauq meñ qāsid
paḌhnā na kare ḳhat kā kahīñ us pe girānī
taklīf na kar naame ke likhne kī tū mujh ko
aa jaa.e jo kuchh jī meñ tire kahiyo zabānī
ye jaan agar bed-e-muvalla kahīñ dekhe
baaqī hai kisū mū-e-pareshāñ kī nishānī
dekheñ to sahī kab ta.iiñ nibhtī hai ye sohbat
ham jī se tire dost haiñ tū dushman-e-jānī
majnūñ bhī na rusvā-e-jahāñ hotā na vo aap
maktab meñ jo kam aatī pa lailā thī divānī
qaaf
ik shaḳhs mujhī sā thā ki vo tujh pe thā āshiq
vo us kī vafā-peshgī vo us kī javānī
ye kah ke jo royā to lagā kahne na kah 'mīr'
suntā nahīñ maiñ zulm-rasīdoñ kī kahānī
ghaflat mein gai aah meri sari jawani
ai 'umr-e-guzashta main teri qadr na jaani
thi aabla-e-dil se hamein tishnagi mein chashm
phuTa to na aaya nazar ek bund bhi pani
muddat se hain ek musht-e-par aawara chaman mein
nikli hai ye kis ki hawas-e-baal-fishani
bhati hai mujhe ek talab-e-bosa mein ye aan
luknat se ulajh ja ke use baat na aani
qaf
kya jaaniye kya kya main likhun shauq mein qasid
paDhna na kare KHat ka kahin us pe girani
taklif na kar name ke likhne ki tu mujh ko
aa jae jo kuchh ji mein tere kahiyo zabani
ye jaan agar bed-e-muwalla kahin dekhe
baqi hai kisu mu-e-pareshan ki nishani
dekhen to sahi kab tain nibhti hai ye sohbat
hum ji se tere dost hain tu dushman-e-jaani
majnun bhi na ruswa-e-jahan hota na wo aap
maktab mein jo kam aati pa laila thi diwani
qaf
ek shaKHs mujhi sa tha ki wo tujh pe tha aashiq
wo us ki wafa-peshgi wo us ki jawani
ye kah ke jo roya to laga kahne na kah 'mir'
sunta nahin main zulm-rasidon ki kahani
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0466
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.