gala mat toD apna ai jaras bas
galā mat toḌ apnā ai jaras bas
nahīñ is raah meñ fariyād-ras bas
kabhū dil kī na kahne paa.e us se
jahāñ bole lagā kahne ki bas bas
gul-o-gulzār se kyā qaidiyoñ ko
hameñ dāġh-e-dil-o-kunj-e-qafas bas
na tarsāo yakāyak maar Daalo
karoge kab talak ham par taras bas
bahut kam dete the bādal dikhā.ī
rahe ham hī to rote is baras bas
kisū mahbūb kī ho gor par gul
hamārī ḳhaak ko hai ḳhār-o-ḳhas bas
chaman ke ġham meñ siina daaġh hai 'mīr'
bahut niklī hamārī bhī havas bas
gala mat toD apna ai jaras bas
nahin is rah mein fariyaad-ras bas
kabhu dil ki na kahne pae us se
jahan bole laga kahne ki bas bas
gul-o-gulzar se kya qaidiyon ko
hamein dagh-e-dil-o-kunj-e-qafas bas
na tarsao yakayak mar Dalo
karoge kab talak hum par taras bas
bahut kam dete the baadal dikhai
rahe hum hi to rote is baras bas
kisu mahbub ki ho gor par gul
hamari KHak ko hai KHar-o-KHas bas
chaman ke gham mein sina dagh hai 'mir'
bahut nikli hamari bhi hawas bas
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1141
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.