gham-e-marg se dil jigar-resh hai
ġham-e-marg se dil jigar-resh hai
ajab marhala ham ko darpesh hai
balā hai use shauq-e-tīr-o-kamāñ
yahīñ se hai paidā sitam-kesh hai
dilā us ke zāhir pe mat jā.iyo
vo ḳhush-rū to hai par bad-andesh hai
bahut ḳhuub hai la.al-e-naushīn-e-yār
va-lekin ḳhat-e-pusht-e-lab nesh hai
hameñ kyā jo hai 'mīr' behosh sā
ḳhudā jaane ye kyā hī darvesh hai
gham-e-marg se dil jigar-resh hai
ajab marhala hum ko darpesh hai
bala hai use shauq-e-tir-o-kaman
yahin se hai paida sitam-kesh hai
dila us ke zahir pe mat jaiyo
wo KHush-ru to hai par bad-andesh hai
bahut KHub hai lal-e-naushin-e-yar
wa-lekin KHat-e-pusht-e-lab nesh hai
hamein kya jo hai 'mir' behosh sa
KHuda jaane ye kya hi darwesh hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1279
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.