aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham raha jab tak ki dam mein dam raha

Meer Taqi Meer

gham raha jab tak ki dam mein dam raha

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    ġham rahā jab tak ki dam meñ dam rahā

    dil ke jaane nihāyat ġham rahā

    husn thā terā bahut ālam-fareb

    ḳhat ke aane par bhī ik aalam rahā

    dil na pahuñchā gosha-e-dāmāñ talak

    qatra-e-ḳhūñ thā mizha par jam rahā

    sunte haiñ lailā ke ḳheme ko siyāh

    us meñ majnūñ magar mātam rahā

    jāma-e-ehrām-e-zāhid par na

    thā haram meñ lek nā-mahram rahā

    zulfeñ kholīñ to Tuk aayā nazar

    umr bhar yaañ kām-e-dil barham rahā

    us ke lab se talḳh ham sunte rahe

    apne haq meñ āb-e-haivāñ sam rahā

    mere rone haqīqat jis meñ thī

    ek muddat tak vo kāġhaz nam rahā

    sub.h-e-pīrī shaam hone aa.ī 'mīr'

    na chetā yaañ bahut din kam rahā

    gham raha jab tak ki dam mein dam raha

    dil ke jaane ka nihayat gham raha

    husn tha tera bahut aalam-fareb

    KHat ke aane par bhi ek aalam raha

    dil na pahuncha gosha-e-daman talak

    qatra-e-KHun tha mizha par jam raha

    sunte hain laila ke KHeme ko siyah

    us mein majnun ka magar matam raha

    jama-e-ehram-e-zahid par na ja

    tha haram mein lek na-mahram raha

    zulfen kholin to tu Tuk aaya nazar

    umr bhar yan kaam-e-dil barham raha

    us ke lab se talKH hum sunte rahe

    apne haq mein aab-e-haiwan sam raha

    mere rone ki haqiqat jis mein thi

    ek muddat tak wo kaghaz nam raha

    subh-e-piri sham hone aai 'mir'

    tu na cheta yan bahut din kam raha

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0102

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now