ghar se liye nikalta hai talwar be-tarah
ghar se liye nikaltā hai talvār be-tarah
ab un ne saj banā.ī hai ḳhuñḳhār be-tarah
jī bachne kī tarah nazar aatī nahīñ koī
kartā hai mere ḳhuun pe isrār be-tarah
chehra to un ne apnā banāyā hai ḳhuub lek
bigḌā phire hai ab vo tarahdār be-tarah
kis tarah jaa.e pakḌī zabāñ us kī ḳhashm meñ
kahtā hai baiThā muttasil ab yaar be-tarah
lohū meñ Duube dekhiyo dāmān-o-jeb 'mīr'
biphrā hai aaj dīda-e-ḳhūñ-bār be-tarah
ghar se liye nikalta hai talwar be-tarah
ab un ne saj banai hai KHunKHar be-tarah
ji bachne ki tarah nazar aati nahin koi
karta hai mere KHun pe israr be-tarah
chehra to un ne apna banaya hai KHub lek
bigDa phire hai ab wo tarahdar be-tarah
kis tarah jae pakDi zaban us ki KHashm mein
kahta hai baiTha muttasil ab yar be-tarah
lohu mein Dube dekhiyo daman-o-jeb 'mir'
biphra hai aaj dida-e-KHun-bar be-tarah
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1597
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.