gosh har-yak ka usi ki or hai
gosh har-yak kā usī kī or hai
kyā qayāmat kā qayāmat-shor hai
pūchhnā is nā-tavāñ kā ḳhuub thā
par na pūchhā un ne vo bhī zor hai
sandal-e-dard-e-sar-e-mehr-o-vafā
āqibat dekhā to ḳhāk-e-gor hai
rishta-e-ulfat to nāzuk hai bahut
kyā samajh kar ḳhalq is par Dor hai
nākasī se 'mīr' us kūche ke biich
is tarah nikle hai jaise chor hai
gosh har-yak ka usi ki or hai
kya qayamat ka qayamat-shor hai
puchhna is na-tawan ka KHub tha
par na puchha un ne wo bhi zor hai
sandal-e-dard-e-sar-e-mehr-o-wafa
aaqibat dekha to KHak-e-gor hai
rishta-e-ulfat to nazuk hai bahut
kya samajh kar KHalq is par Dor hai
nakasi se 'mir' us kuche ke bich
is tarah nikle hai jaise chor hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1280
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.