gul bhi hai mashuq lekin kab hai us mahbub sa
gul bhī hai māshūq lekin kab hai us mahbūb sā
aage us qad ke hai sarv-e-bāġh be-uslūb sā
us ke va.ade kī vafā tak vo koī hovegā jo
ho muammar nuuh sā sābir ho phir ayyūb sā
ishq se kin ne mire aagah kyā us shoḳh ko
ab mire aane se ho jaatā hai vo mahjūb sā
ba.ad-e-murdan ye ġhazal mutrib se jin ne gosh kī
gor ke merī gale jā lag ke royā ḳhuub sā
āqilāna harf-zan ho 'mīr' to kariye bayāñ
zer-e-lab kyā jāniye kahtā hai kyā majzūb sā
gul bhi hai mashuq lekin kab hai us mahbub sa
aage us qad ke hai sarw-e-bagh be-uslub sa
us ke wade ki wafa tak wo koi howega jo
ho muammar nuh sa sabir ho phir ayyub sa
ishq se kin ne mere aagah kya us shoKH ko
ab mere aane se ho jata hai wo mahjub sa
baad-e-murdan ye ghazal mutrib se jin ne gosh ki
gor ke meri gale ja lag ke roya KHub sa
aaqilana harf-zan ho 'mir' to kariye bayan
zer-e-lab kya jaaniye kahta hai kya majzub sa
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1082
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.