gul munakis hue hain bahut aabju ke bich
gul mun.akis hue haiñ bahut aabjū ke biich
jā-e-sharāb paanī bhareñge subū ke biich
suthrāo kar diyā hai tamannā-e-vasl ne
kyā kyā aziiz mar ga.e is aarzū ke biich
bahs aa paḌe jo lab se tumhāre to chup raho
kuchh bolnā nahīñ tumheñ is guftugū ke biich
ham haiñ qalandar aa kar agar dil se dam bhareñ
aalam kā ā.īna hai siyah ek hū ke biich
gul kī to bū se ġhash nahīñ aatā kisū ke tiiñ
hai farq 'mīr' phuul kī aur us kī bū ke biich
gul munakis hue hain bahut aabju ke bich
ja-e-sharab pani bharenge subu ke bich
suthrao kar diya hai tamanna-e-wasl ne
kya kya aziz mar gae is aarzu ke bich
bahs aa paDe jo lab se tumhaare to chup raho
kuchh bolna nahin tumhein is guftugu ke bich
hum hain qalandar aa kar agar dil se dam bharen
aalam ka aaina hai siyah ek hu ke bich
gul ki to bu se ghash nahin aata kisu ke tin
hai farq 'mir' phul ki aur us ki bu ke bich
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1373
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.