gul qafas tak nasim lai hai
gul qafas tak nasīm laa.ī hai
bū ki phir kar bahār aa.ī hai
ishq dariyā hai ek langar-dār
tah kisū ne bhī is kī paa.ī hai
vo na sharmāve kab talak āḳhir
dostī yaarī āshnā.ī hai
ve nahīñ to unhoñ kā bhaa.ī aur
ishq karne kī kyā manā.ī hai
be-sutūñ kohkan ne kyā toḌā
ishq kī zor-āzmā.ī hai
bhīḌeñ Taltī haiñ us ke abrū hile
chalī talvār to safā.ī hai
laḌkā attār kā hai kyā ma.ajūn
ham ko tarkīb us kī bhaa.ī hai
kaj-ravī yaar kī nahīñ jaatī
yahī be-taur be-adā.ī hai
aane kahtā hai phir nahīñ aatā
yahī bad-ahdī bevafā.ī hai
kar chalo nekī ab to jis tis se
shāyad is hī meñ kuchh bhalā.ī hai
barsoñ meñ 'mīr' se mile to kahā
is se pūchho ki ye kujā.ī hai
gul qafas tak nasim lai hai
bu ki phir kar bahaar aai hai
ishq dariya hai ek langar-dar
tah kisu ne bhi is ki pai hai
wo na sharmawe kab talak aaKHir
dosti yari aashnai hai
we nahin to unhon ka bhai aur
ishq karne ki kya manai hai
be-sutun kohkan ne kya toDa
ishq ki zor-azmai hai
bhiDen Talti hain us ke abru hile
chali talwar to safai hai
laDka attar ka hai kya majun
hum ko tarkib us ki bhai hai
kaj-rawi yar ki nahin jati
yahi be-taur be-adai hai
aane kahta hai phir nahin aata
yahi bad-ahdi bewafai hai
kar chalo neki ab to jis tis se
shayad is hi mein kuchh bhalai hai
barson mein 'mir' se mile to kaha
is se puchho ki ye kujai hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1780
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.