Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gul sharm se bah jaega gulshan mein ho kar aab sa

Meer Taqi Meer

gul sharm se bah jaega gulshan mein ho kar aab sa

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    gul sharm se bah jā.egā gulshan meñ ho kar aab

    burqe se gar niklā kahīñ chehra tirā mahtāb

    gul-e-barg ye rañg hai marjāñ aisā Dhañg hai

    dekho na jhumke hai paḌā vo hoñT la.al-e-nāb

    vo māya-e-jāñ to kahīñ paidā nahīñ joñ kīmiyā

    maiñ shauq ifrāt se betāb huuñ sīmāb

    dil taab laayā na Tuk yaad rahtā ham-nashīñ

    ab aish roz-e-vasl hai meñ bhūlā ḳhvāb

    sanñāhaTe meñ jaan ke hosh-o-havās-o-dam na thā

    asbāb saarā le gayā aayā thā ik sailāb

    ham sar-kashī se muddatoñ masjid se bach bach kar chale

    ab sajde meñ guzre hai qad jo huā mehrāb

    thī ishq vo ibtidā jo mauj uTThī kabhū

    ab dīda-e-tar ko jo tum dekho to hai girdāb

    bahke jo ham mast aa ga.e sau baar masjid se uThā

    vaa.iz ko maare ḳhauf ke kal lag gayā jullāb

    rakh haath dil par 'mīr' ke daryāft kar kyā haal hai

    rahtā hai aksar ye javāñ kuchh in dinoñ betāb

    gul sharm se bah jaega gulshan mein ho kar aab sa

    burqe se gar nikla kahin chehra tera mahtab sa

    gul-e-barg ka ye rang hai marjaan ka aisa Dhang hai

    dekho na jhumke hai paDa wo honT lal-e-nab sa

    wo maya-e-jaan to kahin paida nahin jon kimiya

    main shauq ki ifraat se betab hun simab sa

    dil tab hi laya na Tuk ta yaad rahta ham-nashin

    ab aish roz-e-wasl ka hai ji mein bhula KHwab sa

    sannahaTe mein jaan ke hosh-o-hawas-o-dam na tha

    asbab sara le gaya aaya tha ek sailab sa

    hum sar-kashi se muddaton masjid se bach bach kar chale

    ab sajde hi mein guzre hai qad jo hua mehrab sa

    thi ishq ki wo ibtida jo mauj si uTThi kabhu

    ab dida-e-tar ko jo tum dekho to hai girdab sa

    bahke jo hum mast aa gae sau bar masjid se uTha

    waiz ko mare KHauf ke kal lag gaya jullab sa

    rakh hath dil par 'mir' ke daryaft kar kya haal hai

    rahta hai aksar ye jawan kuchh in dinon betab sa

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0020

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now