guzar-e-abr ab bhi jab kabhu idhar ko hota hai
guzār-e-abr ab bhī jab kabhū īdhar ko hotā hai
hamārī bekasī par zār-bārāñ der rotā hai
huā mazkūr naam us kā ki aañsū bah chale muñh par
hamāre kaam saare dīda-e-tar hī Dubotā hai
bajā hai sīna-kūbī sang se dil ḳhuun hote haiñ
jo hamdam aise jaate haiñ to mātam saḳht hotā hai
na kī nashv-o-numā kāmil na kaam apnā kiyā hāsil
falak koī bhī dil se tuḳhm ko be-vaqt botā hai
hilānā abrūoñ kā le hai zer-e-teġh āshiq ko
palak kā mārnā barchhī kaleje meñ chubhotā hai
kahāñ ai rashk-e-āb-e-zindagī hai tū ki yaañ tujh bin
har ik pākīza gauhar jī se apne haath dhotā hai
lagā murde ko mere dekh kar vo nā-samajh kahne
javānī kī hai niiñd is ko ki is ġhaflat se sotā hai
pareshāñ gard sā gaahe jo mil jaatā hai sahrā meñ
usī kī justujū meñ ḳhizr bhī auqāt khotā hai
na rakkho kaan nazm-e-shā'irān-e-hāl par itne
chalo Tuk 'mīr' ko sunñe ki motī se pirotā hai
guzar-e-abr ab bhi jab kabhu idhar ko hota hai
hamari bekasi par zar-baran der rota hai
hua mazkur nam us ka ki aansu bah chale munh par
hamare kaam sare dida-e-tar hi Dubota hai
baja hai sina-kubi sang se dil KHun hote hain
jo hamdam aise jate hain to matam saKHt hota hai
na ki nashw-o-numa kaamil na kaam apna kiya hasil
falak koi bhi dil se tuKHm ko be-waqt bota hai
hilana abruon ka le hai zer-e-tegh aashiq ko
palak ka marna barchhi kaleje mein chubhota hai
kahan ai rashk-e-ab-e-zindagi hai tu ki yan tujh bin
har ek pakiza gauhar ji se apne hath dhota hai
laga murde ko mere dekh kar wo na-samajh kahne
jawani ki hai nind is ko ki is ghaflat se sota hai
pareshan gard sa gahe jo mil jata hai sahra mein
usi ki justuju mein KHizr bhi auqat khota hai
na rakkho kan nazm-e-sha'iran-e-haal par itne
chalo Tuk 'mir' ko sunne ki moti se pirota hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0519
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.