Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guzra bana-e-charKH se nala pagah ka

Meer Taqi Meer

guzra bana-e-charKH se nala pagah ka

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    guzrā banā-e-charḳh se naala pagāh

    ḳhāna-ḳharāb ho jiyo is dil chaah

    āñkhoñ meñ mirā hai udhar dekhtā nahīñ

    martā huuñ meñ to haa.e re sarfa nigāh

    sad ḳhānumāñ-ḳharāb haiñ har har qadam pe dafan

    kushta huuñ yaar maiñ to tire ghar raah

    yak qatra ḳhuun ho ke palak se Tapak paḌā

    qissa ye kuchh huā dil ġhufrāñ-panāh

    talvār mārnā to tumheñ khel hai vale

    jaatā rahe na jaan kaso be-gunāh

    bad-nām-o-ḳhvar-o-zār-o-nazār-o-shikasta-hāl

    ahvāl kuchh na pochhiye us rū-siyāh

    zālim zamīñ se lauTtā dāman uThā ke chal

    hogā kamīñ meñ haath kaso dād-ḳhvāh

    ai tāj-e-shah na sar ko farv lā.ūñ tere paas

    hai mo'taqid faqīr namad kulāh

    har laḳht-e-dil meñ said ke paikān bhī ga.e

    dekhā maiñ shoḳh ThāTh tirī said-e-gāh

    bīmār na hove jiye jab talak ki 'mīr'

    sone na degā shor tirī aah aah

    guzra bana-e-charKH se nala pagah ka

    KHana-KHarab ho jiyo is dil ki chah ka

    aankhon mein ji mera hai udhar dekhta nahin

    marta hun mein to hae re sarfa nigah ka

    sad KHanuman-KHarab hain har har qadam pe dafan

    kushta hun yar main to tere ghar ki rah ka

    yak qatra KHun ho ke palak se Tapak paDa

    qissa ye kuchh hua dil ghufran-panah ka

    talwar marna to tumhein khel hai wale

    jata rahe na jaan kaso be-gunah ka

    bad-nam-o-KHwar-o-zar-o-nazar-o-shikasta-haal

    ahwal kuchh na pochhiye us ru-siyah ka

    zalim zamin se lauTta daman uTha ke chal

    hoga kamin mein hath kaso dad-KHwah ka

    ai taj-e-shah na sar ko farw laun tere pas

    hai mo'taqid faqir namad ki kulah ka

    har laKHt-e-dil mein said ke paikan bhi gae

    dekha main shoKH ThaTh teri said-e-gah ka

    bimar tu na howe jiye jab talak ki 'mir'

    sone na dega shor teri aah aah ka

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0042

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now