hakim shahr-e-husn ke zalim kyunke sitam-ijad nahin
hākim shahr-e-husn ke zālim kyūñke sitam-ījād nahīñ
ḳhuun kisū kā koī kare vaañ daad nahīñ fariyād nahīñ
yaarī hamārī yak baarī ḳhātir se farāmosh un ne kī
zikr hamārā us se kiyā so kahne lagā kuchh yaad nahīñ
kyā kyā mardum-e-ḳhush-zāhir haiñ ‘ālam-e-husn meñ nām-e-ḳhudā
‘ālam-e-‘ishq ḳharāba hai vaañ koī ghar ābād nahīñ
'ishq koī hamdard kahīñ muddat meñ paidā kartā hai
koh raheñ go nālāñ barsoñ lekin ab farhād nahīñ
laḌnā kāvākī se falak kā pesh-e-pā-uftāda hai
'mīr' tilism-e-ġhubār jo ye hai kuchh is kī buniyād nahīñ
hakim shahr-e-husn ke zalim kyunke sitam-ijad nahin
KHun kisu ka koi kare wan dad nahin fariyaad nahin
yari hamari yak bari KHatir se faramosh un ne ki
zikr hamara us se kiya so kahne laga kuchh yaad nahin
kya kya mardum-e-KHush-zahir hain ‘alam-e-husn mein nam-e-KHuda
‘alam-e-‘ishq KHaraba hai wan koi ghar aabaad nahin
'ishq koi hamdard kahin muddat mein paida karta hai
koh rahen go nalan barson lekin ab farhad nahin
laDna kawaki se falak ka pesh-e-pa-uftada hai
'mir' tilism-e-ghubar jo ye hai kuchh is ki buniyaad nahin
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1700
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.