haal zaKHm-e-jigar se hai darham
haal zaḳhm-e-jigar se hai darham
kaash rahte kisū taraf mar ham
dilbaroñ ko jo bar meñ khīñchā Tuk
is adā se bahut hue barham
aap ko ab kahīñ nahīñ paate
be-ḳhudī se ga.e haiñ kīdhar ham
dair-o-ka.aba ga.e haiñ ham aksar
ya.anī DhūñDā hai us ko ghar ghar ham
kah sake kaun ham ko nā-hamvār
ab to haiñ ḳhaak se barābar ham
koft sī koft apne dil par hai
chhātī kuuTā kiye haiñ aksar ham
abr kartā hai ab kamī sī 'mīr'
dekheñ haiñ sū-e-dīda-e-tar ham
haal zaKHm-e-jigar se hai darham
kash rahte kisu taraf mar hum
dilbaron ko jo bar mein khincha Tuk
is ada se bahut hue barham
aap ko ab kahin nahin pate
be-KHudi se gae hain kidhar hum
dair-o-kaba gae hain hum aksar
yani DhunDa hai us ko ghar ghar hum
kah sake kaun hum ko na-hamwar
ab to hain KHak se barabar hum
koft si koft apne dil par hai
chhati kuTa kiye hain aksar hum
abr karta hai ab kami si 'mir'
dekhen hain su-e-dida-e-tar hum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1439
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.