hai meri har ek ghazal par ijtima
hai mirī har ik ġhazal par ijtimā'
ḳhānqah meñ karte haiñ suufī samā'
vajd meñ rakhtā hai ahl-e-fahm ko
mere she'r-o-shā'irī kā istimā'
nīm-bismil chhoḌ denā rahm kar
us shikār-afgan kā haigā iḳhtirā’
kuchh zarar 'aa.ed huā merī hī or
varna us se sab ko pahuñchā intifā'
yaar dushman ho gayā is ke sabab
hai matā’-e-dostī bhī kyā matā'
dil jigar ḳhuuñ ho ke ruḳhsat ho ga.e
hasrat-ālūda hai kyā ashk-e-vidā'
'mīr' dard-e-dil na kah zālim bas ab
ho gayā hai sāme'oñ ko to sudā'
hai meri har ek ghazal par ijtima'
KHanqah mein karte hain sufi sama'
wajd mein rakhta hai ahl-e-fahm ko
mere she'r-o-sha'iri ka istima'
nim-bismil chhoD dena rahm kar
us shikar-afgan ka haiga iKHtira’
kuchh zarar 'aed hua meri hi or
warna us se sab ko pahuncha intifa'
yar dushman ho gaya is ke sabab
hai mata’-e-dosti bhi kya mata'
dil jigar KHun ho ke ruKHsat ho gae
hasrat-aluda hai kya ashk-e-wida'
'mir' dard-e-dil na kah zalim bas ab
ho gaya hai same'on ko to suda'
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1154
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.