hai tah-e-dil buton ka kya malum
hai tah-e-dil butoñ kā kyā ma.alūm
nikle parde se kyā ḳhudā ma.alūm
yahī jaanā ki kuchh na jaanā haa.e
so bhī ik umr meñ huā ma.alūm
ilm sab ko hai ye ki sab tū hai
phir hai allāh kaisā nā-ma.alūm
garche tū hī hai sab jagah lekin
ham ko terī nahīñ hai jā ma.alūm
ishq jaanā thā maar rakkhegā
ibtidā meñ thī intihā ma.alūm
un siyah-chashm dilbaroñ se hameñ
thī vafā chashm so vafā ma.alūm
tarz kiine kī koī chhuptī hai
mudda.ī kā hai mudda.ā ma.alūm
ishq hai ai tabīb jī kā rog
lutf kar hai jo kuchh davā ma.alūm
dil bajā ho to 'mīr' kuchh khāve
kuḌhne pachne meñ ishtihā ma.alūm
hai tah-e-dil buton ka kya malum
nikle parde se kya KHuda malum
yahi jaana ki kuchh na jaana hae
so bhi ek umr mein hua malum
ilm sab ko hai ye ki sab tu hai
phir hai allah kaisa na-malum
garche tu hi hai sab jagah lekin
hum ko teri nahin hai ja malum
ishq jaana tha mar rakkhega
ibtida mein thi intiha malum
un siyah-chashm dilbaron se hamein
thi wafa chashm so wafa malum
tarz kine ki koi chhupti hai
muddai ka hai muddaa malum
ishq hai ai tabib ji ka rog
lutf kar hai jo kuchh dawa malum
dil baja ho to 'mir' kuchh khawe
kuDhne pachne mein ishtiha malum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0855
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.