hai tamanna-e-visal uski meri jaan ke sath
hai tamannā-e-visāl us kī mirī jaan ke saath
jaan hī jā.egī āḳhir ko is armān ke saath
kyā faqat toḌ ke chhātī hī gayā tiir us kā
le gayā saaf mire dil ko bhī paikān ke saath
dīn-o-dil hī ke rahā mere vo kāfir darpe
ḳhasmī-e-qātiba us ko hai musalmān ke saath
bahr par nahr pe barse hai barābar hī abr
pesh har ik se karīm aate haiñ ehsān ke saath
satr-e-zulf aa.ī hai us rū-e-muḳhattat pe nazar
ye 'ibārat na.ī lāhaq huī qur.ān ke saath
tiir us kā jo guzar dil se chalā jī bhī chalā
rasm-e-tā’zīm se ho lete haiñ mehmān ke saath
maiñ to laḌkā nahīñ jo baale batāo mujh ko
ye farebindagī kariye kisū nādān ke saath
ḳhūn-e-muslim ko to vājib ye butāñ jaane haiñ
hoje kāfir ki amaañ yaañ nahīñ īmān ke saath
ādamiyyat se tumheñ 'mīr' ho kyūñkar bahra
tum ne sohbat nahīñ rakkhī kisū insān ke saath
hai tamanna-e-visal us ki meri jaan ke sath
jaan hi jaegi aaKHir ko is arman ke sath
kya faqat toD ke chhati hi gaya tir us ka
le gaya saf mere dil ko bhi paikan ke sath
din-o-dil hi ke raha mere wo kafir darpe
KHasmi-e-qatiba us ko hai musalman ke sath
bahr par nahr pe barse hai barabar hi abr
pesh har ek se karim aate hain ehsan ke sath
satr-e-zulf aai hai us ru-e-muKHattat pe nazar
ye 'ibarat nai lahaq hui quran ke sath
tir us ka jo guzar dil se chala ji bhi chala
rasm-e-ta’zim se ho lete hain mehman ke sath
main to laDka nahin jo baale batao mujh ko
ye farebindagi kariye kisu nadan ke sath
KHun-e-muslim ko to wajib ye butan jaane hain
hoje kafir ki aman yan nahin iman ke sath
aadamiyyat se tumhein 'mir' ho kyunkar bahra
tum ne sohbat nahin rakkhi kisu insan ke sath
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1244
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.