hum aur teri gali se safar darogh darogh
ham aur terī galī se safar daroġh daroġh
kahāñ dimāġh hameñ is qadar daroġh daroġh
tum aur ham se mohabbat tumheñ ḳhilāf ḳhilāf
ham aur ulfat-e-ḳhūb-e-digar daroġh daroġh
ġhalat ġhalat ki raheñ tum se ham tanik ġhāfil
tum aur pūchho hamārī ḳhabar daroġh daroġh
faroġh kuchh nahīñ da.ave ko sub.h-e-sādiq ke
shab-e-firāq ko kab hai sahar daroġh daroġh
kisū ke kahne se mat bad-gumāñ ho 'mīr' se tū
vo aur us ko kisū par nazar daroġh daroġh
hum aur teri gali se safar darogh darogh
kahan dimagh hamein is qadar darogh darogh
tum aur hum se mohabbat tumhein KHilaf KHilaf
hum aur ulfat-e-KHub-e-digar darogh darogh
ghalat ghalat ki rahen tum se hum tanik ghafil
tum aur puchho hamari KHabar darogh darogh
farogh kuchh nahin dawe ko subh-e-sadiq ke
shab-e-firaq ko kab hai sahar darogh darogh
kisu ke kahne se mat bad-guman ho 'mir' se tu
wo aur us ko kisu par nazar darogh darogh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0247
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.