hum chaman mein gae the wa na hue
ham chaman meñ ga.e the vā na hue
nik.hat-e-gul se āshnā na hue
sar kisū se faro nahīñ aatā
haif bande hue ḳhudā na hue
ḳhvār-o-zār-o-zalīl-o-be-rūyat
āshiq us ke hue so kyā na hue
kaisā kaisā qafas se sar maarā
mausam-e-gul meñ ham rihā na hue
maiñ na gardan kaTā.ī jab tak 'mīr'
ishq ke mujh se haq adā na hue
hum chaman mein gae the wa na hue
nikhat-e-gul se aashna na hue
sar kisu se faro nahin aata
haif bande hue KHuda na hue
KHwar-o-zar-o-zalil-o-be-ruyat
aashiq us ke hue so kya na hue
kaisa kaisa qafas se sar mara
mausam-e-gul mein hum riha na hue
main na gardan kaTai jab tak 'mir'
ishq ke mujh se haq ada na hue
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1261
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.