hum ko shahr se us mah ke hai azm-e-rah darogh darogh
ham ko shahr se us mah ke hai 'azm-e-rāh daroġh daroġh
ye harakat to ham na kareñge ḳhāna-siyāh daroġh daroġh
ulfat kulfat kaun kahe hai chaah gunāh likhā kin ne
bedardī se ve rakhte haiñ yahī gunāh daroġh daroġh
shaiḳh kū vo to jhuuT kahe hai jhuuT ko kyūñkar jhuuT gineñ
ahl-e-dard jo koī ho to kahiye aah daroġh daroġh
'ishq ke maare ġham-zadagāñ se uns kare bohtān-o-kizb
us be-mehr kī ham logoñ se ulfat chaah daroġh daroġh
kis dilbar ko shauq se dekhā 'mīr' ġhalat hai tohmat hai
muñh pe kisū ke paḌī nahīñ hai gaah nigāh daroġh daroġh
hum ko shahr se us mah ke hai 'azm-e-rah darogh darogh
ye harakat to hum na karenge KHana-siyah darogh darogh
ulfat kulfat kaun kahe hai chah gunah likha kin ne
bedardi se we rakhte hain yahi gunah darogh darogh
shaiKH ku wo to jhuT kahe hai jhuT ko kyunkar jhuT ginen
ahl-e-dard jo koi ho to kahiye aah darogh darogh
'ishq ke mare gham-zadagan se uns kare bohtan-o-kizb
us be-mehr ki hum logon se ulfat chah darogh darogh
kis dilbar ko shauq se dekha 'mir' ghalat hai tohmat hai
munh pe kisu ke paDi nahin hai gah nigah darogh darogh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1649
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.